tumhaari mahfil se ja raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna
tumhaari mahfil se ja raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna
Nadeem Gullani
MORE BYNadeem Gullani
tumhārī mahfil se jā rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
ai mere yaaro lo maiñ chalā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
mohabbatoñ kā maiñ rāsta huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
jo tum na dekho maiñ dekhtā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
rah-e-vafā meñ fanā huā par kisī ke aage jhukā nahīñ jo
vafāoñ kā maiñ vo qāfila huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
mujhe yaqīñ hai ye mere hote zamāna saarā tyaag deñge
maiñ apne yāroñ kā hausla huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
na manziloñ kī ḳhabar hai mujh ko na rāstoñ kā patā hai phir bhī
maiñ apne ghar se to chal paḌā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
maiñ thak ke saa.e meñ jab huuñ baiThā to saare saa.e lage haiñ chalne
maiñ bad-nasībī kī intihā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
mujhe ḳhudā ne basāratoñ kī hadoñ se zyāda basārteñ diiñ
maiñ band āñkhoñ se dekhtā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
ġhamoñ meñ mere ḳhushī chhupī hai ḳhushī meñ merī chhupe hue ġham
ajab laḌā.ī maiñ laḌ rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
mohabbatoñ ke sarāb jhele rafāqatoñ ke azaab jhele
kisī kī yādoñ meñ ro rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
nahīñ hai jis kā hal ab to koī 'nadīm' bas ik sivā tumhāre
maiñ ek aisā hī mas.ala huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
'nadīm' chāhat ye kam na hogī ḳhudā karegā ki phir mileñge
ye jaate jaate maiñ kah rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā
tumhaari mahfil se ja raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna
ai mere yaro lo main chala hun mujhe duaon mein yaad rakhna
mohabbaton ka main rasta hun mujhe duaon mein yaad rakhna
jo tum na dekho main dekhta hun mujhe duaon mein yaad rakhna
rah-e-wafa mein fana hua par kisi ke aage jhuka nahin jo
wafaon ka main wo qafila hun mujhe duaon mein yaad rakhna
mujhe yaqin hai ye mere hote zamana sara tyag denge
main apne yaron ka hausla hun mujhe duaon mein yaad rakhna
na manzilon ki KHabar hai mujh ko na raston ka pata hai phir bhi
main apne ghar se to chal paDa hun mujhe duaon mein yaad rakhna
main thak ke sae mein jab hun baiTha to sare sae lage hain chalne
main bad-nasibi ki intiha hun mujhe duaon mein yaad rakhna
mujhe KHuda ne basaraton ki hadon se zyaada basarten din
main band aankhon se dekhta hun mujhe duaon mein yaad rakhna
ghamon mein mere KHushi chhupi hai KHushi mein meri chhupe hue gham
ajab laDai main laD raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna
mohabbaton ke sarab jhele rafaqaton ke azab jhele
kisi ki yaadon mein ro raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna
nahin hai jis ka hal ab to koi 'nadim' bas ek siwa tumhaare
main ek aisa hi masala hun mujhe duaon mein yaad rakhna
'nadim' chahat ye kam na hogi KHuda karega ki phir milenge
ye jate jate main kah raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.