tumhaari yaad ka marham banam-e-dil kar dun
tumhārī yaad kā marham banām-e-dil kar duuñ
tamām hijr ke zaḳhmoñ ko mundamil kar duuñ
bahut zarūrī hai sahrā meñ ishq zinda rahe
so is ko kyoñ na atā apne āb-o-gil kar duuñ
abhī to dard mire dil meñ aarzī hai magar
sifārish aap jo farmā.eñ mustaqil kar duuñ
jo dāġh-e-ishq chamak uThe mere siine meñ
tamām māh-e-do-hafta ko maiñ ḳhajil kar duuñ
utar ga.ī haiñ tirī sab udāsiyāñ mujh meñ
so apnī saarī ḳhushī tujh ko muntaqil kar duuñ
harūf-e-shauq meñ laakh intishār ho 'ḳhālid'
ḳhayāl husn-e-sarāpā se maiñ sajil kar duuñ
tumhaari yaad ka marham banam-e-dil kar dun
tamam hijr ke zaKHmon ko mundamil kar dun
bahut zaruri hai sahra mein ishq zinda rahe
so is ko kyon na ata apne aab-o-gil kar dun
abhi to dard mere dil mein aarzi hai magar
sifarish aap jo farmaen mustaqil kar dun
jo dagh-e-ishq chamak uThe mere sine mein
tamam mah-e-do-hafta ko main KHajil kar dun
utar gai hain teri sab udasiyan mujh mein
so apni sari KHushi tujh ko muntaqil kar dun
haruf-e-shauq mein lakh intishaar ho 'KHalid'
KHayal husn-e-sarapa se main sajil kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.