tu bewafa hai tera etibar kaun kare
tū bevafā hai tirā e'tibār kaun kare
tamām umr tirā intizār kaun kare
bahut dinoñ se maiñ ḳhush-fahmī-e-visāl meñ huuñ
jo tū nahīñ to mujhe be-qarār kaun kare
sunā.eñ haal bhī dil kā agar sune koī
sune na jab koī chīḳh-o-pukār kaun kare
vo aa.e yā ki na aa.e ye us kī hai marzī
shumār-e-gardish-e-lail-o-nahār kaun kare
jo maiñ bhī sab kī tarah bas tire qasīde likhūñ
ilāj-e-barhami-e-rozgār kaun kare
agar nasīb meñ 'zaiġham' ḳhizāñ hī likkhī ho
to phir jahāñ meñ talāsh-e-bahār kaun kare
tu bewafa hai tera e'tibar kaun kare
tamam umr tera intizar kaun kare
bahut dinon se main KHush-fahmi-e-visal mein hun
jo tu nahin to mujhe be-qarar kaun kare
sunaen haal bhi dil ka agar sune koi
sune na jab koi chiKH-o-pukar kaun kare
wo aae ya ki na aae ye us ki hai marzi
shumar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kaun kare
jo main bhi sab ki tarah bas tere qaside likhun
ilaj-e-barhami-e-rozgar kaun kare
agar nasib mein 'zaigham' KHizan hi likkhi ho
to phir jahan mein talash-e-bahaar kaun kare
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.