Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad

Aziz Tamannai

ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad

Aziz Tamannai

MORE BYAziz Tamannai

    ufuq ke us paar kar rahā hai koī mirā intizār shāyad

    usī jānib chalī hai shaam o sahar ye rahguzār shāyad

    qafas meñ dūr-o-darāz se bhīnī bhīnī ḳhushbū aa rahī hai

    chaman chaman ham ko DhūñDtī hogī mauj-e-fasl-e-bahār shāyad

    hazār baar aazmā chukā hai magar abhī aazmā rahā hai

    abhī zamāne ko aadmī nahīñ hai kuchh e'tibār shāyad

    na shab ke gesū sañvar sake aur na din ke ruḳh par nikhār aayā

    azal se mashshātgī har mudda.ī hai nā-puḳhta-kār shāyad

    jo har nazar ko bhigo ga.ī hai jo har nafas ko Dubo ga.ī hai

    vahī taġhayyur mauj ik din banegī vaj.h-e-qarār shāyad

    vahī hai andāz-e-be-niyāzī vahī hai raftār-e-be-shu.ūrī

    abhī tak ā.ankhoñ meñ maujzan hai ga.e dinoñ ḳhumār shāyad

    na jaane hadd-e-nazar se Takrā ke kyuuñ tamannā.ī lauT aa.e

    hudūd-e-arz-o-samāñ ke aage khiñchā huā hai hisār shāyad

    ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad

    usi ki jaanib chali hai sham o sahar ki ye rahguzar shayad

    qafas mein dur-o-daraaz se bhini bhini KHushbu si aa rahi hai

    chaman chaman hum ko DhunDti hogi mauj-e-fasl-e-bahaar shayad

    hazar bar aazma chuka hai magar abhi aazma raha hai

    abhi zamane ko aadmi ka nahin hai kuchh e'tibar shayad

    na shab ke gesu sanwar sake aur na din ke ruKH par nikhaar aaya

    azal se mashshatgi ka har muddai hai na-puKHta-kar shayad

    jo har nazar ko bhigo gai hai jo har nafas ko Dubo gai hai

    wahi taghayyur ki mauj ek din banegi wajh-e-qarar shayad

    wahi hai andaz-e-be-niyazi wahi hai raftar-e-be-shuuri

    abhi tak aaankhon mein maujzan hai gae dinon ka KHumar shayad

    na jaane hadd-e-nazar se Takra ke kyun tamannai lauT aae

    hudud-e-arz-o-saman ke aage khincha hua hai hisar shayad

    Source:

    Sarhane Ka Charagh (Pg. 105)

    • Author: Azeez Tamannai
      • Edition: 1992
      • Publisher: Modern Publishing House, New Delhi
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now