umr jo be-KHudi mein guzri hai
umr jo be-ḳhudī meñ guzrī hai
bas vahī āgahī meñ guzrī hai
koī mauj-e-nasīm se pūchhe
kaisī āvārgī meñ guzrī hai
un kī bhī rah sakī na dārā.ī
jin kī askandarī meñ guzrī hai
aasrā un kī rahbarī Thahrī
jin kī ḳhud rahzanī meñ guzrī hai
aas ke jugnūo sadā kis kī
zindagī raushnī meñ guzrī hai
ham-nashīnī pe faḳhr kar nādāñ
sohbat-e-ādmī meñ guzrī hai
yuuñ to shā.er bahut se guzre haiñ
apnī bhī shā.erī meñ guzrī hai
miir ke ba.ad ġhālib o iqbāl
ik sadā, ik sadī meñ guzrī hai
umr jo be-KHudi mein guzri hai
bas wahi aagahi mein guzri hai
koi mauj-e-nasim se puchhe
kaisi aawargi mein guzri hai
un ki bhi rah saki na darai
jin ki askandari mein guzri hai
aasra un ki rahbari Thahri
jin ki KHud rahzani mein guzri hai
aas ke jugnuo sada kis ki
zindagi raushni mein guzri hai
ham-nashini pe faKHr kar nadan
sohbat-e-admi mein guzri hai
yun to shaer bahut se guzre hain
apni bhi shaeri mein guzri hai
mir ke baad ghaalib o iqbaal
ek sada, ek sadi mein guzri hai
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 301)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.