usne kal bhagte lamhon ko pakaD rakkha tha
us ne kal bhāgte lamhoñ ko pakaḌ rakkhā thā
baat dīvāne kī lagtī hai sitamgar jaisī
jism thā us kā bas ik jism koī baat na thī
haañ nigāhoñ meñ koī chiiz thī tevar jaisī
kyā kahā tū mirā saaya hai yaqīñ mujh ko nahīñ
shakl to kuchh nazar aatī hai payambar jaisī
maiñ ne kal toḌā ik ā.īna to mahsūs huā
is meñ poshīda koī chiiz thī jauhar jaisī
us ne kal bhagte lamhon ko pakaD rakkha tha
baat diwane ki lagti hai sitamgar jaisi
jism tha us ka bas ek jism koi baat na thi
han nigahon mein koi chiz thi tewar jaisi
kya kaha tu mera saya hai yaqin mujh ko nahin
shakl to kuchh nazar aati hai payambar jaisi
main ne kal toDa ek aaina to mahsus hua
is mein poshida koi chiz thi jauhar jaisi
- Book : shab-khoon(web site) (Pg. 82)
- Edition : 38
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.