kya dil ka ye ilaqa Khaali paDa rahega
kyā dil kā ye ilāqa ḳhālī paḌā rahegā
ham tum na hoñge to bhī mela lagā rahegā
zaḳhmoñ ko ashk-e-ḳhūñ se sairāb kar rahā huuñ
ab aur bhī tumhārā chehra khilā rahegā
band-e-qabā kā khulnā mushkil bahut hai lekin
lekin khulā to phir ye uqda khulā rahegā
sargarmī-e-havā ko dekhā hai paas dil ke
is aag se ye jangal kab tak bachā rahegā
khultī nahīñ hai yā rab kyuuñ niiñd raftagāñ kī
kyā hashr tak ye aalam soyā paḌā rahegā
yaksar hamāre baazū shal ho ga.e haiñ yā-rab
āḳhir darāz kab tak dast-e-duā rahegā
kya dil ka ye ilaqa KHali paDa rahega
hum tum na honge to bhi mela laga rahega
zaKHmon ko ashk-e-KHun se sairab kar raha hun
ab aur bhi tumhaara chehra khila rahega
band-e-qaba ka khulna mushkil bahut hai lekin
lekin khula to phir ye uqda khula rahega
sargarmi-e-hawa ko dekha hai pas dil ke
is aag se ye jangal kab tak bacha rahega
khulti nahin hai ya rab kyun nind raftagan ki
kya hashr tak ye aalam soya paDa rahega
yaksar hamare bazu shal ho gae hain ya-rab
aaKHir daraaz kab tak dast-e-dua rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.