waise hi KHayal aa gaya hai
vaise hī ḳhayāl aa gayā hai
yā dil meñ malāl aa gayā hai
aañsū jo rukā vo kisht-e-jāñ meñ
bārish kī misāl aa gayā hai
ġham ko na ziyāñ kaho ki dil meñ
ik sāhib-e-hāl aa gayā hai
jugnū hī sahī fasīl-e-shab meñ
ā.īna-ḳhisāl aa gayā hai
aa dekh ki mere āñsuoñ meñ
ye kis kā jamāl aa gayā hai
muddat huī kuchh na dekhne kā
āñkhoñ ko kamāl aa gayā hai
maiñ kitne hisār toḌ aa.ī
jiinā thā muhāl aa gayā hai
waise hi KHayal aa gaya hai
ya dil mein malal aa gaya hai
aansu jo ruka wo kisht-e-jaan mein
barish ki misal aa gaya hai
gham ko na ziyan kaho ki dil mein
ek sahib-e-haal aa gaya hai
jugnu hi sahi fasil-e-shab mein
aaina-KHisal aa gaya hai
aa dekh ki mere aansuon mein
ye kis ka jamal aa gaya hai
muddat hui kuchh na dekhne ka
aankhon ko kamal aa gaya hai
main kitne hisar toD aai
jina tha muhaal aa gaya hai
- Book : Nuquush (Pg. 474)
- Author : Mohammad Tufail
- Publication : Idara-e-Frog-e-Urdu, Lahore (1985,Issue No. 132)
- Edition : 1985,Issue No. 132
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.