wasl ki raat ajab hijr manata hua main
vasl kī raat ajab hijr manātā huā maiñ
mujh meñ aatā huā tū tujh ko bhagātā huā maiñ
ek tasvīr meñ aa baiThe haiñ donoñ pahlū
mujh se rūThā huā tū tujh ko manātā huā maiñ
jaane kis samt bahā le gayā mujh ko paanī
tū ne dekhā hī nahīñ chīḳhtā gaatā huā maiñ
roz aa jaatā huuñ sahrāoñ se ghar kī jānib
kuchh parindoñ ko sar-e-shām uḌātā huā maiñ
wasl ki raat ajab hijr manata hua main
mujh mein aata hua tu tujh ko bhagata hua main
ek taswir mein aa baiThe hain donon pahlu
mujh se ruTha hua tu tujh ko manata hua main
jaane kis samt baha le gaya mujh ko pani
tu ne dekha hi nahin chiKHta gata hua main
roz aa jata hun sahraon se ghar ki jaanib
kuchh parindon ko sar-e-sham uData hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.