wo ek shaKHs ki jis se shikayaten thin bahut
vo ek shaḳhs ki jis se shikāyateñ thiiñ bahut
vahī aziiz usī se mohabbateñ thiiñ bahut
vo jab milā to diloñ meñ koī talab hī na thī
bichhaḌ gayā to hamārī zarūrateñ thiiñ bahut
har ek moḌ pe ham TūTte bikharte rahe
hamārī ruuh meñ pinhāñ qayāmateñ thiiñ bahut
pahuñch ga.e sar-e-manzil tirī tamannā meñ
agarche raah kaThin thī sa.ūbateñ thiiñ bahut
vo yuuñ milā hai ki jaise kabhī milā hī na thā
hamārī zaat pe jis kī ināyateñ thiiñ bahut
hameñ ḳhud apne hī yāroñ ne kar diyā rusvā
ki baat kuchh bhī na thī aur vazāhateñ thiiñ bahut
hamāre ba.ad huā us galī meñ sannāTā
hamāre dam se hī 'nāsir' hikāyateñ thiiñ bahut
wo ek shaKHs ki jis se shikayaten thin bahut
wahi aziz usi se mohabbaten thin bahut
wo jab mila to dilon mein koi talab hi na thi
bichhaD gaya to hamari zaruraten thin bahut
har ek moD pe hum TuTte bikharte rahe
hamari ruh mein pinhan qayamaten thin bahut
pahunch gae sar-e-manzil teri tamanna mein
agarche rah kaThin thi saubaten thin bahut
wo yun mila hai ki jaise kabhi mila hi na tha
hamari zat pe jis ki inayaten thin bahut
hamein KHud apne hi yaron ne kar diya ruswa
ki baat kuchh bhi na thi aur wazahaten thin bahut
hamare baad hua us gali mein sannaTa
hamare dam se hi 'nasir' hikayaten thin bahut
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 285)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.