wo hamein aur hum unhen bas dur se dekha kiye
wo hamein aur hum unhen bas dur se dekha kiye
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
vo hameñ aur ham unheñ bas duur se dekhā kiye
umr-bhar ik dūsre ko ham yūñhī chāhā kiye
us ne va.ada toḌ Daalā ye use haq thā magar
kis qadar ma.asūm the ham rāsta dekhā kiye
pā liyā ahl-e-junūñ ne phir shahādat kā maqām
aql vaale maġhfirat kī hī duā māñgā kiye
tū ne merī samt nā dekhā palaT ke ek baar
jaane vaale ham to tujh ko duur tak dekhā kiye
baañT dī allāh ne vaqt-e-sahar sab ne.amateñ
ham se ġhāfil dhuup ke chaḌhne talak soyā kiye
kyā batā.ūñ dostoñ apnī ye dil kī dāstāñ
ham kisī kī dil-lagī ko chāhateñ samjhā kiye
wo hamein aur hum unhen bas dur se dekha kiye
umr-bhar ek dusre ko hum yunhi chaha kiye
us ne wada toD Dala ye use haq tha magar
kis qadar masum the hum rasta dekha kiye
pa liya ahl-e-junun ne phir shahadat ka maqam
aql wale maghfirat ki hi dua manga kiye
tu ne meri samt na dekha palaT ke ek bar
jaane wale hum to tujh ko dur tak dekha kiye
banT di allah ne waqt-e-sahar sab neamaten
hum se ghafil dhup ke chaDhne talak soya kiye
kya bataun doston apni ye dil ki dastan
hum kisi ki dil-lagi ko chahaten samjha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.