Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek nazar se mujhe be-asas kar dega

Aziz Bano Darab Wafa

wo ek nazar se mujhe be-asas kar dega

Aziz Bano Darab Wafa

MORE BYAziz Bano Darab Wafa

    vo ik nazar se mujhe be-asās kar degā

    mire yaqīn ko merā qayās kar degā

    maiñ jab bhī us udāsī se uub jā.ūñgī

    to yuuñ hañsegā ki mujh ko udaas kar degā

    milā ke mujh se nigāheñ vo merī nazroñ ke

    zarā der meñ ḳhālī gilass kar degā

    phir is tarah se rahegā mire ḳhayāloñ meñ

    ki merī pyaas ko dariyā pyaas kar degā

    maiñ us gard haTāte hue bhī Dartī huuñ

    vo ā.īna hai mujhe ḳhud-shanās kar degā

    maiñ us ke sāmne uryāñ lagūñgī duniyā ko

    vo mere jism ko merā libās kar degā

    vo māhtāb-sifat sirf raushnī nahīñ

    mujhī ko raat manzar bhī ḳhaas kar degā

    wo ek nazar se mujhe be-asas kar dega

    mere yaqin ko mera qayas kar dega

    main jab bhi us ki udasi se ub jaungi

    to yun hansega ki mujh ko udas kar dega

    mila ke mujh se nigahen wo meri nazron ke

    zara si der mein KHali gilass kar dega

    phir is tarah se rahega mere KHayalon mein

    ki meri pyas ko dariya ki pyas kar dega

    main us ki gard haTate hue bhi Darti hun

    wo aaina hai mujhe KHud-shanas kar dega

    main us ke samne uryan lagungi duniya ko

    wo mere jism ko mera libas kar dega

    wo mahtab-sifat sirf raushni hi nahin

    mujhi ko raat ka manzar bhi KHas kar dega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now