wo mar dega agar KHanjar-e-tabassum se
vo maar degā agar ḳhanjar-e-tabassum se
to gungunā.uñgā kaise ġhazal tarannum se
sajī hai tere liye kā.enāt-e-sher-o-suḳhan
ġhazal ye merī hai mansūb jān-e-man tum se
qazā namāz-e-mohabbat na ho kisī sūrat
agar vuzū nahīñ mumkin to paḌh tayammum se
tū bā-hunar hai ki hai be-hunar mire jaisā
ye rāz-e-basta khulegā tire takallum se
shanāvarī kā hunar hī mujhe nahīñ aatā
bachā.ūñ kaise tujhe bahr-e-pur-talātum se
mire liye to mire ghar kā hauz kaafī hai
karūñgā kyā bhalā logo maiñ bahr-o-qulzum se
yazīd-e-vaqt kī nīñdeñ harām hotī haiñ
husain ab bhī tire ijtimā-e-chehlum se
sitāra us ke muqaddar kā jab nahīñ chamkā
uThā hai dushmanī karne vo bazm-e-anjum se
mire safīna-e-hastī ke nāḳhudā tum ho
ye Dagmagā nahīñ saktā kisī talātum se
kisī ke saath mujhe dekh kar kisī ne kahā
ye bevafā.ī kī ummīd to na thī tum se
namāz-e-ishq ḳhudā kī adā.egī ke liye
zamīñ pe aa.egā koī falak chahārum se
ye lafz sunte hī mahbūb yaad aate haiñ
jabhī to uns hai is dil ko lafz-e-panjum se
qadam qadam pe jahālat use satā.egī
jo duur ho gayā tā'līm aur ta.allum se
mujhe hai jaldī mujhe aur kahīñ bhī jaanā hai
kahā ye us ne ki maiñ kal milūñgā phir tum se
usī samāj ke afrād sang-dil nikle
samāj ḳhālī thā jo jazba-e-tarahhum se
ḳhushī se lauTnā apne vatan ko ai 'nūrī'
huā jo fāriġh-e-tahsīl hauza-e-qum se
wo mar dega agar KHanjar-e-tabassum se
to gungunaunga kaise ghazal tarannum se
saji hai tere liye kaenat-e-sher-o-suKHan
ghazal ye meri hai mansub jaan-e-man tum se
qaza namaz-e-mohabbat na ho kisi surat
agar wuzu nahin mumkin to paDh tayammum se
tu ba-hunar hai ki hai be-hunar mere jaisa
ye raaz-e-basta khulega tere takallum se
shanawari ka hunar hi mujhe nahin aata
bachaun kaise tujhe bahr-e-pur-talatum se
mere liye to mere ghar ka hauz kafi hai
karunga kya bhala logo main bahr-o-qulzum se
yazid-e-waqt ki ninden haram hoti hain
husain ab bhi tere ijtima-e-chehlum se
sitara us ke muqaddar ka jab nahin chamka
uTha hai dushmani karne wo bazm-e-anjum se
mere safina-e-hasti ke naKHuda tum ho
ye Dagmaga nahin sakta kisi talatum se
kisi ke sath mujhe dekh kar kisi ne kaha
ye bewafai ki ummid to na thi tum se
namaz-e-ishq KHuda ki adaegi ke liye
zamin pe aaega koi falak chahaarum se
ye lafz sunte hi mahbub yaad aate hain
jabhi to uns hai is dil ko lafz-e-panjum se
qadam qadam pe jahaalat use sataegi
jo dur ho gaya ta'lim aur tallum se
mujhe hai jaldi mujhe aur kahin bhi jaana hai
kaha ye us ne ki main kal milunga phir tum se
usi samaj ke afrad sang-dil nikle
samaj KHali tha jo jazba-e-tarahhum se
KHushi se lauTna apne watan ko ai 'nuri'
hua jo farigh-e-tahsil hauza-e-qum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.