wo shoKH dil-o-jaan ki tamanna to na nikla
vo shoḳh dil-o-jāñ kī tamannā to na niklā
sho'la to na niklā vo sharārā to na niklā
mahsūs kiyā dard ke har ruup meñ us ko
āvāz kā afsūñ kabhī jhūTā to na niklā
mahrūmī-e-jāved ne donoñ hī ko maarā
ye rāz-e-mohabbat koī gahrā to na niklā
ye dil kā ḳharāba hī tirī rāhguzar thī
kā'ba to na niklā vo kalīsā to na niklā
vo mere muqaddar kī siyāhī thā sarāpā
nūr-e-shab-e-mahtāb sunahrā to na niklā
ham bhī kisī shīrīñ ke liye ḳhāna-badar the
farhād rah-e-'ishq meñ tanhā to na niklā
is meñ tirī ḳhalvat kā har ik rang hai paayā
ye chāñd sar-e-charḳh akelā to na niklā
pahle se baḌhī aur ġham-e-'ishq kī talḳhī
tū bhī mire dam-sāz masīhā to na niklā
andāz-e-bayāñ terā 'azīm' aur hī kuchh hai
dekhe sabhī fankār pa tujh sā to na niklā
wo shoKH dil-o-jaan ki tamanna to na nikla
sho'la to na nikla wo sharara to na nikla
mahsus kiya dard ke har rup mein us ko
aawaz ka afsun kabhi jhuTa to na nikla
mahrumi-e-jawed ne donon hi ko mara
ye raaz-e-mohabbat koi gahra to na nikla
ye dil ka KHaraba hi teri rahguzar thi
ka'ba to na nikla wo kalisa to na nikla
wo mere muqaddar ki siyahi tha sarapa
nur-e-shab-e-mahtab sunahra to na nikla
hum bhi kisi shirin ke liye KHana-badar the
farhad rah-e-'ishq mein tanha to na nikla
is mein teri KHalwat ka har ek rang hai paya
ye chand sar-e-charKH akela to na nikla
pahle se baDhi aur gham-e-'ishq ki talKHi
tu bhi mere dam-saz masiha to na nikla
andaz-e-bayan tera 'azim' aur hi kuchh hai
dekhe sabhi fankar pa tujh sa to na nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.