Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo zard chehra moattar nigah jaisa tha

Majid-ul-Baqri

wo zard chehra moattar nigah jaisa tha

Majid-ul-Baqri

MORE BYMajid-ul-Baqri

    vo zard chehra mo.attar nigāh jaisā thā

    havā ruup thā bolo to aah jaisā thā

    aliil vaqt poshāk thā buḳhār us

    vo ek jism thā lekin karāh jaisā thā

    bhaTak rahā thā añdhere meñ dard dariyā

    vo ek raat jugnū thā raah jaisā thā

    galī ke moḌ pe Thahrā huā thā ik saaya

    libās chup badan par nibāh jaisā thā

    chalā to saa.e ke mānind saath saath chalā

    rukā to mere liye mahr-o-māh jaisā thā

    qarīb dekh ke us ko ye baat kis se kahūñ

    ḳhayāl dil meñ jo aayā gunāh jaisā thā

    bahut bātoñ meñ majbūr thā vo ham se bhī

    takallufāt meñ ālam-panāh jaisā thā

    ḳhabar ke uḌte yūñhī ki mar gayā 'mājid'

    purāne ghar samāñ jashn-gāh jaisā thā

    wo zard chehra moattar nigah jaisa tha

    hawa ka rup tha bolo to aah jaisa tha

    alil waqt ki poshak tha buKHar us ka

    wo ek jism tha lekin karah jaisa tha

    bhaTak raha tha andhere mein dard ka dariya

    wo ek raat ka jugnu tha rah jaisa tha

    gali ke moD pe Thahra hua tha ek saya

    libas chup ka badan par nibah jaisa tha

    chala to sae ke manind sath sath chala

    ruka to mere liye mahr-o-mah jaisa tha

    qarib dekh ke us ko ye baat kis se kahun

    KHayal dil mein jo aaya gunah jaisa tha

    bahut si baaton mein majbur tha wo hum se bhi

    takallufat mein aalam-panah jaisa tha

    KHabar ke uDte hi yunhi ki mar gaya 'majid'

    purane ghar ka saman jashn-gah jaisa tha

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 653)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now