Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaqin se jo guman ka fasla hai

Tabish Kamal

yaqin se jo guman ka fasla hai

Tabish Kamal

MORE BYTabish Kamal

    yaqīñ se jo gumāñ fāsla hai

    zamīñ se āsmāñ fāsla hai

    havā-paimā.ī ḳhvāhish hai itnī

    ki jitnā bādbāñ fāsla hai

    ḳhayālāt is qadar haiñ muḳhtalif kyuuñ

    hamāre darmiyāñ fāsla hai

    koī iz.hār kar saktā hai kaise

    ye lafzoñ se zabāñ fāsla hai

    maiñ us tak kis tarah pahuñchūñgā 'tābish'

    yahāñ se is jahāñ fāsla hai

    yaqin se jo guman ka fasla hai

    zamin se aasman ka fasla hai

    hawa-paimai ki KHwahish hai itni

    ki jitna baadban ka fasla hai

    KHayalat is qadar hain muKHtalif kyun

    hamare darmiyan ka fasla hai

    koi izhaar kar sakta hai kaise

    ye lafzon se zaban ka fasla hai

    main us tak kis tarah pahunchunga 'tabish'

    yahan se is jahan ka fasla hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now