yazid-e-waqt mera KHun bahana chahta hai
yazīd-e-vaqt mirā ḳhuuñ bahānā chāhtā hai
vo karbalā meñ mujhe phir se laanā chāhtā hai
añdherī rātoñ meñ shab-ḳhūn mārtā thā jo
vo ab ujāle meñ khul kar bhī aanā chāhtā hai
patā hai us ko ye saare chane haiñ lohe ke
jigar to dekhiye phir bhī chabānā chāhtā hai
adū vo tāj-mahal lāl-qil.a kā hī nahīñ
vo har nishānī hamārī miTānā chāhte hai
fazā ke zahr se ye baaġh bhar gayā dānish
parinda phir bhī yahāñ chahchahānā chāhtā hai
yazid-e-waqt mera KHun bahana chahta hai
wo karbala mein mujhe phir se lana chahta hai
andheri raaton mein shab-KHun marta tha jo
wo ab ujale mein khul kar bhi aana chahta hai
pata hai us ko ye sare chane hain lohe ke
jigar to dekhiye phir bhi chabana chahta hai
adu wo taj-mahal lal-qila ka hi nahin
wo har nishani hamari miTana chahte hai
faza ke zahr se ye bagh bhar gaya danish
parinda phir bhi yahan chahchahana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.