ye jo bedar dikhai diya hun
ye jo bedār dikhā.ī diyā huuñ
āḳhirī baar dikhā.ī diyā huuñ
vahāñ mushkil thā sunā.ī detā
shukr hai yaar dikhā.ī diyā huuñ
aa hirāsat se chhuḌā hijrāñ ko
maiñ giraftār dikhā.ī diyā huuñ
paañv bāñdhe haiñ vafā se jab ne
tez-raftār dikhā.ī diyā huuñ
jhiil meñ chāñd girā thā aur maiñ
jhiil ke paar dikhā.ī diyā huuñ
mujh pe tasvīr lagā dī ga.ī hai
kyā maiñ dīvār dikhā.ī diyā huuñ
jāntā ḳhud ko nahīñ huuñ 'ahmad'
ḳhud ko be-kār dikhā.ī diyā huuñ
ye jo bedar dikhai diya hun
aaKHiri bar dikhai diya hun
wahan mushkil tha sunai deta
shukr hai yar dikhai diya hun
aa hirasat se chhuDa hijran ko
main giraftar dikhai diya hun
panw bandhe hain wafa se jab ne
tez-raftar dikhai diya hun
jhil mein chand gira tha aur main
jhil ke par dikhai diya hun
mujh pe taswir laga di gai hai
kya main diwar dikhai diya hun
jaanta KHud ko nahin hun 'ahmad'
KHud ko be-kar dikhai diya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.