ye kis ne shaKH-e-gul la kar qarib-e-ashiyan rakh di
ye kis ne shaKH-e-gul la kar qarib-e-ashiyan rakh di
Seemab Akbarabadi
MORE BYSeemab Akbarabadi
ye kis ne shāḳh-e-gul lā kar qarīb-e-āshiyāñ rakh dī
ki maiñ ne shauq-e-gul-bosī meñ kāñToñ par zabāñ rakh dī
sunā thā qissa-ḳhvāñ koī nayā qissa sunā.egā
hamāre muñh pe zālim ne hamārī dāstāñ rakh dī
ḳhulūs-e-dil se sajda ho to us sajde kā kyā kahnā
vahīñ ka.aba sarak aayā jabīñ ham ne jahāñ rakh dī
uThāyā maiñ ne shām-e-hijr lutf-e-guftugū kyā kyā
tasavvur ne tirī tasvīr ke muñh meñ zabāñ rakh dī
ye kis ne shaKH-e-gul la kar qarib-e-ashiyan rakh di
ki main ne shauq-e-gul-bosi mein kanTon par zaban rakh di
suna tha qissa-KHwan koi naya qissa sunaega
hamare munh pe zalim ne hamari dastan rakh di
KHulus-e-dil se sajda ho to us sajde ka kya kahna
wahin kaba sarak aaya jabin hum ne jahan rakh di
uThaya main ne sham-e-hijr lutf-e-guftugu kya kya
tasawwur ne teri taswir ke munh mein zaban rakh di
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 256)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.