Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai

Azeem Quraishi

ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai

Azeem Quraishi

MORE BYAzeem Quraishi

    ye phuul jo miTTī ke hayūloñ se aTā hai

    maazī koī ḳhvāb hai mānūs sadā hai

    sūkhā huā pattā huuñ ki be-Dāl paḌā huuñ

    kyā jāniye kis ke liye ye jog liyā hai

    ai ḳhār-e-chaman-zār munajjim to nahīñ

    fardā har ik raaz tire lab se sunā hai

    pūchho ye sitāroñ se ki tauzīh kareñ vo

    kyuuñ laash pe yuuñ chāñd mātam bapā hai

    dukhte hue dil se ka.ī shahkār nikāle

    is daur ko ham ne ziyā-pāsh kiyā hai

    jam bhī vahī daarā bhī sikandar bhī vahī hai

    kar bhī tirā aur jo mar kar bhī tirā hai

    mujh se gurezāñ hai to maiñ tujh pe huuñ qurbāñ

    ishva hai jo vo terā to ye merī adā hai

    fankār ne samjhā na muġhannī ne samjhā

    jo sirr-e-nihāñ ek qalandar ne kahā hai

    maiñ phir bhī 'azīm' us adāoñ pe miTā huuñ

    jo marg unvāñ mirī hastī baqā hai

    ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai

    mazi ka koi KHwab hai manus sada hai

    sukha hua patta hun ki be-Dal paDa hun

    kya jaaniye kis ke liye ye jog liya hai

    ai KHar-e-chaman-zar munajjim to nahin tu

    farda ka har ek raaz tere lab se suna hai

    puchho ye sitaron se ki tauzih karen wo

    kyun lash pe yun chand ki matam sa bapa hai

    dukhte hue dil se kai shahkar nikale

    is daur ko hum ne hi ziya-pash kiya hai

    jam bhi wahi dara bhi sikandar bhi wahi hai

    ji kar bhi tera aur jo mar kar bhi tera hai

    tu mujh se gurezan hai to main tujh pe hun qurban

    ishwa hai jo wo tera to ye meri ada hai

    fankar ne samjha na mughanni hi ne samjha

    jo sirr-e-nihan ek qalandar ne kaha hai

    main phir bhi 'azim' us ki adaon pe miTa hun

    jo marg ka unwan meri hasti ki baqa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now