ye saneha hai bhala aur kis ke sar jaana
ye sāneha hai bhalā aur kis ke sar jaanā
havā kā vaqt se chalnā fazā Thahar jaanā
na.ī nahīñ hai ye tanhā.ī mere hujre kī
maraz ho koī bhī hai chārāgar se Dar jaanā
yahī hai ziist kī pahchān maut se pahle
tamām tarah kī tanhā.iyoñ se bhar jaanā
tamām umr guzarnā siyāh lamhoñ se
phir ek shaam na.ī raushnī se bhar jaanā
kisī ke ḳhvāb se chalnā kisī ke ḳhvāb talak
kisī kī jāgtī āñkhoñ meñ ghuT ke mar jaanā
ajiib ranj hai sāñsoñ kā aaj dhaḌkan se
ki ik nafas ke liye har nafas hai mar jaanā
tamām shauq se kaaTe ga.e daraḳht yahāñ
tamām dard se hai aadmī ko bhar jaanā
ye saneha hai bhala aur kis ke sar jaana
hawa ka waqt se chalna faza Thahar jaana
nai nahin hai ye tanhai mere hujre ki
maraz ho koi bhi hai chaaragar se Dar jaana
yahi hai zist ki pahchan maut se pahle
tamam tarah ki tanhaiyon se bhar jaana
tamam umr guzarna siyah lamhon se
phir ek sham nai raushni se bhar jaana
kisi ke KHwab se chalna kisi ke KHwab talak
kisi ki jagti aankhon mein ghuT ke mar jaana
ajib ranj hai sanson ka aaj dhaDkan se
ki ek nafas ke liye har nafas hai mar jaana
tamam shauq se kaTe gae daraKHt yahan
tamam dard se hai aadmi ko bhar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.