Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye zindagi azab agar ho to kya karen

Jameel Usman

ye zindagi azab agar ho to kya karen

Jameel Usman

MORE BYJameel Usman

    ye zindagī azaab agar ho to kyā kareñ

    ik talḳh sharāb agar ho to kyā kareñ

    tum se hamāre qalb o nazar muāmla

    ik vaj.h-e-iztirāb agar ho to kyā kareñ

    sidq-o-safā aarzū ab kyā kare koī

    band āgahī baab agar ho to kyā kareñ

    fitrat meñ jis roz-e-azal se hijāb hai

    vo husn be-hijāb agar ho to kyā kareñ

    ruḳh ko tumhāre chāñd se tashbīh de to deñ

    gahnāyā māhtāb agar ho to kyā kareñ

    ham rāz-e-dil chhupāte magar apnī zindagī

    puurī khulī kitāb agar ho to kyā kareñ

    kar hai tauba ham ne magar duḳhtar-e-enab

    masjid meñ dastiyāb agar ho to kyā kareñ

    ye zindagi azab agar ho to kya karen

    ek talKH si sharab agar ho to kya karen

    tum se hamare qalb o nazar ka muamla

    ek wajh-e-iztirab agar ho to kya karen

    sidq-o-safa ki aarzu ab kya kare koi

    band aagahi ka bab agar ho to kya karen

    fitrat mein jis ki roz-e-azal se hijab hai

    wo husn be-hijab agar ho to kya karen

    ruKH ko tumhaare chand se tashbih de to den

    gahnaya mahtab agar ho to kya karen

    hum raaz-e-dil chhupate magar apni zindagi

    puri khuli kitab agar ho to kya karen

    kar li hai tauba hum ne magar duKHtar-e-enab

    masjid mein dastiyab agar ho to kya karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now