yun dil hai sar-ba-sajda kisi ke huzur mein
yuuñ dil hai sar-ba-sajdā kisī ke huzūr meñ
jaise ki ġhota-zan ho koī bahr-e-nūr meñ
hañs hañs ke kah rahī hai chaman kī kalī kalī
aatā hai lutf husn ko apne zuhūr meñ
saaqī nigāh-e-mast se detā hai jab kabhī
lagte haiñ chaar chāñd hamāre surūr meñ
khā.eñ janāb-e-shaiḳh fareb-e-qayās-o-vahm
ye kaif-e-jāñ-navāz kahāñ chashm-e-hūr meñ
misl-e-kalīm kaun sune lan-tarāniyāñ
mere liye kashish hī kahāñ koh-e-tūr meñ
besh az do harf apnī nahīñ dāstān-e-dard
ham gir ke āsmān se aTke khajūr meñ
ye shoḳhiyāñ kalām meñ yūñhī nahīñ 'amīñ'
paḌhne chale haiñ aap ġhazal rāmpūr meñ
yun dil hai sar-ba-sajda kisi ke huzur mein
jaise ki ghota-zan ho koi bahr-e-nur mein
hans hans ke kah rahi hai chaman ki kali kali
aata hai lutf husn ko apne zuhur mein
saqi nigah-e-mast se deta hai jab kabhi
lagte hain chaar chand hamare surur mein
khaen janab-e-shaiKH fareb-e-qayas-o-wahm
ye kaif-e-jaan-nawaz kahan chashm-e-hur mein
misl-e-kalim kaun sune lan-taraniyan
mere liye kashish hi kahan koh-e-tur mein
besh az do harf apni nahin dastan-e-dard
hum gir ke aasman se aTke khajur mein
ye shoKHiyan kalam mein yunhi nahin 'amin'
paDhne chale hain aap ghazal rampur mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.