yun to aapas mein bigaDte hain KHafa hote hain
yuuñ to aapas meñ bigaḌte haiñ ḳhafā hote haiñ
milne vaale kahīñ ulfat meñ judā hote haiñ
haiñ zamāne meñ ajab chiiz mohabbat vaale
dard ḳhud bante haiñ ḳhud apnī davā hote haiñ
hāl-e-dil mujh se na pūchho mirī nazreñ dekho
raaz dil ke to nigāhoñ se adā hote haiñ
milne ko yuuñ to milā kartī haiñ sab se āñkheñ
dil ke aa jaane ke andāz judā hote haiñ
aise hañs hañs ke na dekhā karo sab kī jānib
log aisī hī adāoñ pe fidā hote haiñ
yun to aapas mein bigaDte hain KHafa hote hain
milne wale kahin ulfat mein juda hote hain
hain zamane mein ajab chiz mohabbat wale
dard KHud bante hain KHud apni dawa hote hain
haal-e-dil mujh se na puchho meri nazren dekho
raaz dil ke to nigahon se ada hote hain
milne ko yun to mila karti hain sab se aankhen
dil ke aa jaane ke andaz juda hote hain
aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib
log aisi hi adaon pe fida hote hain
- Book : Kulliyat-e-Majrooh Sultanpuri (Pg. 188)
- Author : Majrooh sultanpri
- Publication : Alhamd Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.