zabt-e-gham kar bhi liya to kya kiya
zabt-e-ġham kar bhī liyā to kyā kiyā
dil kī rag rag se lahū Tapkā kiyā
har tajallī aap kī tasvīrī thī
is liye maiñ har taraf dekhā kiyā
ġham ke sho.ale jaan tak sarkash hue
ishq soz-e-dil hī ko royā kiyā
luuT liiñ sab husn kī ḳhuddāriyāñ
ai nigāh-e-vāpsīñ ye kyā kiyā
thā tumhāre sāmne dil ko sukūñ
phir jo ghabrāyā to ghabrāyā kiyā
shām-e-ġham kī baḌh ga.iiñ tārīkiyāñ
ai charāġh-e-ārzū ye kyā kiyā
kis se paimān-e-mohabbat bāñdhiye
kaun kis kā rāsta dekhā kiyā
aap se ab kyā kaheñ is ke sivā
aap ne jo kuchh kiyā achchhā kiyā
hāsil-e-ġham bhī miTā kar rakh diyā
ai ġham-e-be-hāsilī ye kyā kiyā
tujh pe ye ilzām 'bāsit' kam nahīñ
pyaar kī nazroñ se kyoñ dekhā kiyā
zabt-e-gham kar bhi liya to kya kiya
dil ki rag rag se lahu Tapka kiya
har tajalli aap ki taswiri thi
is liye main har taraf dekha kiya
gham ke shoale jaan tak sarkash hue
ishq soz-e-dil hi ko roya kiya
luT lin sab husn ki KHuddariyan
ai nigah-e-wapsin ye kya kiya
tha tumhaare samne dil ko sukun
phir jo ghabraya to ghabraya kiya
sham-e-gham ki baDh gain tarikiyan
ai charagh-e-arzu ye kya kiya
kis se paiman-e-mohabbat bandhiye
kaun kis ka rasta dekha kiya
aap se ab kya kahen is ke siwa
aap ne jo kuchh kiya achchha kiya
hasil-e-gham bhi miTa kar rakh diya
ai gham-e-be-hasili ye kya kiya
tujh pe ye ilzam 'basit' kam nahin
pyar ki nazron se kyon dekha kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.