zahr mein bujhe sare tir hain kamanon par
zahr meñ bujhe saare tiir haiñ kamānoñ par
maut aan baiThī hai jā-ba-jā machānoñ par
ham burā.ī karte haiñ Dūbte hue din kī
tohmateñ lagāte haiñ jā chuke zamānoñ par
is hasīn manzar se dukh ka.ī ubharne haiñ
dhuup jab utarnī hai barf ke makānoñ par
shauq ḳhud-numā.ī kā intihā ko pahuñchā hai
shohratoñ kī ḳhātir ham saj ga.e dukānoñ par
kis tarah harī hoñgī e'timād kī beleñ
jab munāfiqat sab ne oḌh lī zabānoñ par
zahr mein bujhe sare tir hain kamanon par
maut aan baiThi hai ja-ba-ja machanon par
hum burai karte hain Dubte hue din ki
tohmaten lagate hain ja chuke zamanon par
is hasin manzar se dukh kai ubharne hain
dhup jab utarni hai barf ke makanon par
shauq KHud-numai ka intiha ko pahuncha hai
shohraton ki KHatir hum saj gae dukanon par
kis tarah hari hongi e'timad ki belen
jab munafiqat sab ne oDh li zabanon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.