Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara wo KHak mein milne na de KHun-e-shahidan ko

Safdar Mirzapuri

zara wo KHak mein milne na de KHun-e-shahidan ko

Safdar Mirzapuri

MORE BYSafdar Mirzapuri

    zarā vo ḳhaak meñ milne na de ḳhūn-e-shahīdāñ ko

    ḳhudā taufīq de itnī zamīn-e-kū-e-jānāñ ko

    koī samjhā de itnā is adū-e-dīn-o-īmāñ ko

    tirī kāfir-adā kyoñ chheḌtī hai har musalmāñ ko

    kamī kuchh marne vāloñ nahīñ o qātil-e-ālam

    basātā yūñhī ābādī-e-gor-e-ġharībāñ ko

    ḳhudā pahuñchā to de us āstāñ tak phir samajh lūñgā

    mujhe rokegā kyā darbāñ maiñ ḳhud rokūñgā darbāñ ko

    ajab lazzat hai donoñ meñ ki rah rah ke badaltā huuñ

    kabhī paikāñ se armāñ ko kabhī armāñ se paikāñ ko

    tavāzo ḳhalq-o-hamdardī muravvat narm-guftārī

    yahī bāteñ haiñ jo insāñ banā detī haiñ insāñ ko

    kabhī sub.h-e-vatan se bhuul kar milte nahīñ dekhā

    takalluf is qadar 'safdar' mirī shām-e-ġharībāñ ko

    zara wo KHak mein milne na de KHun-e-shahidan ko

    KHuda taufiq de itni zamin-e-ku-e-jaanan ko

    koi samjha de itna is adu-e-din-o-iman ko

    teri kafir-ada kyon chheDti hai har musalman ko

    kami kuchh marne walon ki nahin o qatil-e-alam

    basata ja yunhi aabaadi-e-gor-e-ghariban ko

    KHuda pahuncha to de us aastan tak phir samajh lunga

    mujhe rokega kya darban main KHud rokunga darban ko

    ajab lazzat hai donon mein ki rah rah ke badalta hun

    kabhi paikan se arman ko kabhi arman se paikan ko

    tawazo KHalq-o-hamdardi murawwat narm-guftari

    yahi baaten hain jo insan bana deti hain insan ko

    kabhi subh-e-watan se bhul kar milte nahin dekha

    takalluf is qadar 'safdar' meri sham-e-ghariban ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now