zindagi mujhko meri nazron mein sharminda na kar
zindagī mujh ko mirī nazroñ meñ sharminda na kar
mar chukā hai jo bahut pahle use zinda na kar
haal kā ye dukh tire maazī kī tujh ko den hai
aaj tak jo kuchh kiyā tū ne vo ā.inda na kar
to bhī is tūfān meñ ik ret kī dīvār hai
apnī hastī bhuul kar har ek kī ninda na kar
sau-gunā hote hue bhī jis ne baazī haar dī
aisī buzdil bhiiḌ kā mujh ko numā.inda na kar
jism kyā shai hai ki merī ruuh tak jal jā.egī
aag meñ apnī jalā kar mujh ko tābinda na kar
zindagi mujh ko meri nazron mein sharminda na kar
mar chuka hai jo bahut pahle use zinda na kar
haal ka ye dukh tere mazi ki tujh ko den hai
aaj tak jo kuchh kiya tu ne wo aainda na kar
to bhi is tufan mein ek ret ki diwar hai
apni hasti bhul kar har ek ki ninda na kar
sau-guna hote hue bhi jis ne bazi haar di
aisi buzdil bhiD ka mujh ko numainda na kar
jism kya shai hai ki meri ruh tak jal jaegi
aag mein apni jala kar mujh ko tabinda na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.