zohd kis kis ne luTae hain tumhein kya malum
zohd kis kis ne luTā.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
aaj vo kyā nazar aa.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
tum ko begāne bhī apnāte haiñ maiñ jāntā huuñ
mere apne bhī parā.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
kitnī vīrān haiñ be-nūr haiñ āñkheñ merī
ye diye kis ne bujhā.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
shauq-e-āvāra ko sahrā-e-farāmoshī meñ
rāste DhūñDne aa.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
ahl-e-dil hasrat-e-dil le ke tumhāre dar par
aaj kis bhes meñ aa.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
dekh kar haal hamārā na hañso ġhurbat meñ
kaun haiñ kis tarah aa.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
'saif' ye dard se ma.amūr ḳharābe dil ke
kitnī mushkil se basā.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
zohd kis kis ne luTae hain tumhein kya malum
aaj wo kya nazar aae hain tumhein kya malum
tum ko begane bhi apnate hain main jaanta hun
mere apne bhi parae hain tumhein kya malum
kitni viran hain be-nur hain aankhen meri
ye diye kis ne bujhae hain tumhein kya malum
shauq-e-awara ko sahra-e-faramoshi mein
raste DhunDne aae hain tumhein kya malum
ahl-e-dil hasrat-e-dil le ke tumhaare dar par
aaj kis bhes mein aae hain tumhein kya malum
dekh kar haal hamara na hanso ghurbat mein
kaun hain kis tarah aae hain tumhein kya malum
'saif' ye dard se mamur KHarabe dil ke
kitni mushkil se basae hain tumhein kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.