Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap ne apnaa banaayaa mehrbaanii aap kii

Raja Mehdi Ali Khan

aap ne apnaa banaayaa mehrbaanii aap kii

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    Interesting Fact

    Dulhan Ek Raat Ki (1966)

    aap ne apnaa banaayaa mehrbaanii aap kii

    ham to is qaabil na the hai qadrdaanii aap kii

    aaj ham ne dil ke badle aap ko dil de diyaa

    is 'inaayat is navaazish is karam kaa shukriya

    ham ne bhii dil me.n chhupaa lii ye nishaanii aap kii

    mehrbaanii aap kii

    kyaa bataa.e.n aap ke bin aur kuchh bhaataa nahii.n

    ham ko apnii KHush-nasiibii par yaqii.n aataa nahii.n

    ek to paiGaam-e-ulfat phir zabaanii aap kii

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now