Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar mujh se mohabbat hai mujhe sab apne Gam de do

Raja Mehdi Ali Khan

agar mujh se mohabbat hai mujhe sab apne Gam de do

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    Interesting Fact

    Aap Ki Parchhaiyan (1964)

    agar mujh se mohabbat hai mujhe sab apne Gam de do

    in aa.nkho.n kaa har ik aa.nsuu mujhe merii qasam de do

    tumhaare Gam ko apnaa Gam banaa luu.n to qaraar aa.e

    tumhaaraa dard siine me.n chhupaa luu.n to qaraar aa.e

    vo har shai jo tumhe.n dukh de mujhe mere sanam de do

    agar mujh se mohabbat hai

    shariik-e-zindagii ko kyo.n shariik-e-Gam nahii.n karte

    dukho.n ko baa.nT kar kyo.n in dukho.n ko kam nahii.n karte

    ta.Dap is dil kii tho.Dii sii mujhe mere sanam de do

    agar mujh se mohabbat hai

    in aa.nkho.n me.n na ab mujh ko kabhii aa.nsuu nazar aa.e

    sadaa ha.nstii rahe.n aa.nkhe.n sadaa ye ho.nT muskaa.e.n

    mujhe apnii sabhii aahe.n sabhii dard-o-alam de do

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now