Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chho.D kar tere pyaar kaa daaman

Raja Mehdi Ali Khan

chho.D kar tere pyaar kaa daaman

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    Interesting Fact

    Woh Kaun Thi (1964)

    chho.D kar tere pyaar kaa daaman

    ye bataa de ki ham kidhar jaa.e.n

    ham ko Dar hai ki terii baaho.n me.n

    ham KHushii se na aaj mar jaa.e.n

    mil ga.e aaj qaafile dil ke

    ham kha.De hai.n qariib manzil ke

    muskuraa kar jo tum ne dekh liyaa

    miT ga.e ha.ns ke sab gile dil ke

    kitnii pyaarii hai.n ye hasii.n gha.Diyaa.n

    in se kah do yahii.n Thahar jaa.e.n

    ham ko Dar hai

    tere qadmo.n pe zindagii rakh duu.n

    apnii aa.nkho.n kii raushnii rakh duu.n

    tuu agar KHush ho mai.n tire dil me.n

    apne dil kii har ik KHushii rakh duu.n

    mere hamdam mirii KHushii ye hai

    tuu nazar aa.e ham jidhar jaa.e.n

    chho.D kar tere

    dekh kar pyaar in nigaaho.n me.n

    diip se jal ga.e hai.n raaho.n me.n

    tum se milte na ham to ye duniyaa

    Duub jaatii hamaarii aaho.n me.n

    apnii aaho.n se aaj ye kah do

    ab na ho.nTo.n pe 'umr-bhar aa.e.n

    chho.D kar tere

    chho.D kar tere pyaar kaa daaman

    ye bataa de ki ham kidhar jaa.e.n

    ham ko Dar hai ki terii baaho.n me.n

    ham KHushii se na aaj mar jaa.e.n

    mil ga.e aaj qaafile dil ke

    ham kha.De hai.n qariib manzil ke

    muskuraa kar jo tum ne dekh liyaa

    miT ga.e ha.ns ke sab gile dil ke

    kitnii pyaarii hai.n ye hasii.n gha.Diyaa.n

    in se kah do yahii.n Thahar jaa.e.n

    ham ko Dar hai

    tere qadmo.n pe zindagii rakh duu.n

    apnii aa.nkho.n kii raushnii rakh duu.n

    tuu agar KHush ho mai.n tire dil me.n

    apne dil kii har ik KHushii rakh duu.n

    mere hamdam mirii KHushii ye hai

    tuu nazar aa.e ham jidhar jaa.e.n

    chho.D kar tere

    dekh kar pyaar in nigaaho.n me.n

    diip se jal ga.e hai.n raaho.n me.n

    tum se milte na ham to ye duniyaa

    Duub jaatii hamaarii aaho.n me.n

    apnii aaho.n se aaj ye kah do

    ab na ho.nTo.n pe 'umr-bhar aa.e.n

    chho.D kar tere

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now