Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panchhii banuu.n u.Dtii phiruu.n mast gagan me.n

Hasrat Jaipuri

panchhii banuu.n u.Dtii phiruu.n mast gagan me.n

Hasrat Jaipuri

MORE BYHasrat Jaipuri

    Interesting Fact

    Film: Chori Chori Year: 1956 Singer: Lata Mangeshkar Music: Shankar Jaikishan Actor: Nargis,Raj Kapoor,Pran

    panchhii banuu.n u.Dtii phiruu.n mast gagan me.n

    aaj mai.n aazaad huu.n duniyaa ke chaman me.n

    o mire jiivan me.n chamkaa saveraa

    o miTaa dil se vo Gam kaa a.ndheraa

    o hare kheto.n me.n gaa.e ko.ii lahraa

    o yahaa.n dil par kisii kaa na pahraa

    rang bahaaro.n ne bharaa mere jiivan me.n

    aaj mai.n aazaad huu.n duniyaa ke chaman me.n

    o dil se chaahe bahaaro.n se kheluu.n

    o gorii nadiyaa kii dhaaro.n se kheluu.n

    o chaa.nd suuraj sitaaro.n se kheluu.n

    o apnii baa.nho.n me.n aakaash le luu.n

    ba.Dhtii chaluu.n gaatii chaluu.n apnii lagan me.n

    aaj mai.n aazaad huu.n duniyaa ke chaman me.n

    o mai.n to o.Dhuu.ngii baadal kaa aa.nchal

    o mai.n to pahnuu.ngii bijlii kii paa.el

    o chhiin luu.ngii ghaTaa.o.n se kaajal

    o miraa jiivan hai nadiyaa kii halchal

    dil se mire lahr uThe ThanDii pavan me.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now