Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere mere pyaar kaa aisaa naataa hai

Nida Fazli

tere mere pyaar kaa aisaa naataa hai

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    Interesting Fact

    Begunaah (1991)

    tere mere pyaar kaa aisaa naataa hai

    dekh ke terii suurat dil ko chain aataa hai

    mai.n dhaagaa tuu motii kii maalaa hai

    apne KHuun se sii.nch ke tujh ko paalaa hai

    mai.n ne tere chehre me.n laxman ko dekhaa

    rakhiyo laaj mirii tuu khii.nch ke laxman rekhaa

    merii bhaabhii mere sar pe qarz hai teraa

    tum dono.n kii rakshaa karnaa farz hai meraa

    jism jahaa.n jaa.e saayaa piichhe jaataa hai

    dekh ke terii suurat dil ko chain aataa hai

    tere rakshak hai.n ye dono.n haath mere

    sadaa rahe jiivan kii KHushiyaa.n saath tere

    isii tarah ha.nste ha.nste jiivan biite

    is jiivan kii lambii dau.D me.n tuu jiite

    apne in qadmo.n se alag nahii.n karnaa

    ta.Dap ta.Dap ke mar jaa.u.ngaa mai.n varna

    abhii salaamat huu.n mai.n tuu kyo.n ghabraataa hai

    dekh ke terii suurat dil ko chain aataa hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now