tuu is tarah se merii zindagii me.n shaamil hai
Interesting Fact
Aap To Aise Na The (1980)
tuu is tarah se merii zindagii me.n shaamil hai
jahaa.n bhii jaa.uu.n ye lagtaa hai terii mahfil hai
ye aasmaan ye baadal ye raaste ye havaa
har ek chiiz hai apnii jagah Thikaane se
ka.ii dino.n se shikaayat nahii.n zamaane se
ye zindagii hai safar tuu safar kii manzil hai
har ek phuul kisii yaad saa mahaktaa hai
tire KHayaal se jaagii hu.ii fazaa.e.n hai.n
ye sabz pe.D hai.n yaa pyaar kii du'aa.e.n hai.n
tuu paas ho ke nahii.n phir bhii tuu muqaabil hai
har ek shai hai mohabbat ke nuur se raushan
ye raushnii jo na ho zindagii adhuurii hai
rah-e-vafaa me.n ko.ii ham-safar zaruurii hai
ye raasta kahii.n tanhaa kaTe to mushkil hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.