aaj kyun humse parda hai
aaj kyuuñ ham se parda hai
terā har rañg ham ne dekhā hai
terā har Dhañg ham ne dekhā hai
haath khele haiñ terī zulfoñ se
aañkh vāqif hai tere jalvoñ se
tujh ko har tarah āzmāyā hai
pā ke khoyā hai kho ke paayā hai
añkhḌiyoñ kā bayāñ samajhte haiñ
dhaḌkanoñ kī zabāñ samajhte haiñ
chūḌiyoñ kī khanak se vāqif haiñ
chhāgaloñ kī chhanak se vāqif haiñ
nāz-o-andāz jānte haiñ ham
terā har raaz jānte haiñ ham
aaj kyuuñ ham se parda hai
muñh chhupāne se fā.eda kyā hai
dil dukhāne se fā.eda kyā hai
uljhī uljhī laTeñ sañvār ke aa
husn ko aur bhī nikhār ke aa
narm gāloñ meñ bijliyāñ le kar
shoḳh āñkhoñ meñ titliyāñ le kar
aa bhī jā ab adā se lahrātī
ek dulhan kī tarah sharmātī
tū nahīñ hai to raat suunī hai
ishq kī kā.enāt suunī hai
marne vāloñ kī zindagī tū hai
is añdhere kī raushnī to hai
aaj kyuuñ ham se parda hai
aa tirā intizār kab se hai
har nazar be-qarār kab se hai
sham.a rah rah ke jhilmilātī hai
saañs tāroñ kī Duubī jaatī hai
tū agar mehrbān ho jaa.e
har tamannā javān ho jaa.e
aa bhī jā ab ki raat jaatī hai
ek āshiq kī baat jaatī hai
ḳhair ho terī zindagānī kī
bhiik de de hameñ javānī kī
tujh pe sau jaan se fidā haiñ ham
ek muddat ke āshnā haiñ ham
aaj kyuuñ ham se parda hai
aaj kyun hum se parda hai
tera har rang hum ne dekha hai
tera har Dhang hum ne dekha hai
hath khele hain teri zulfon se
aankh waqif hai tere jalwon se
tujh ko har tarah aazmaya hai
pa ke khoya hai kho ke paya hai
ankhDiyon ka bayan samajhte hain
dhaDkanon ki zaban samajhte hain
chuDiyon ki khanak se waqif hain
chhagalon ki chhanak se waqif hain
naz-o-andaz jaante hain hum
tera har raaz jaante hain hum
aaj kyun hum se parda hai
munh chhupane se faeda kya hai
dil dukhane se faeda kya hai
uljhi uljhi laTen sanwar ke aa
husn ko aur bhi nikhaar ke aa
narm galon mein bijliyan le kar
shoKH aankhon mein titliyan le kar
aa bhi ja ab ada se lahraati
ek dulhan ki tarah sharmati
tu nahin hai to raat suni hai
ishq ki kaenat suni hai
marne walon ki zindagi tu hai
is andhere ki raushni to hai
aaj kyun hum se parda hai
aa tera intizar kab se hai
har nazar be-qarar kab se hai
shama rah rah ke jhilmilati hai
sans taron ki Dubi jati hai
tu agar mehrban ho jae
har tamanna jawan ho jae
aa bhi ja ab ki raat jati hai
ek aashiq ki baat jati hai
KHair ho teri zindagani ki
bhik de de hamein jawani ki
tujh pe sau jaan se fida hain hum
ek muddat ke aashna hain hum
aaj kyun hum se parda hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 319)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.