bachche man ke sachche sare jag ki aankh ke tare
bachche man ke sachche saare jag kī aañkh ke taare
ye vo nanhe phuul haiñ jo bhagvān ko lagte pyāre
ḳhud rūTheñ ḳhud man jaa.eñ phir ham-jolī ban jaa.eñ
jhagḌā jis ke saath kareñ agle hī pal phir baat kareñ
in ko kisī se bair nahīñ in ke liye koī ġhair nahīñ
in kā bholā-pan miltā hai sab ko baañh pasāre
insāñ jab tak bachcha hai tab tak samjho sachchā hai
juuñ juuñ us kī umr baḌhe man par jhuuT kā mail chaḌhe
krodh baḌhe nafrat ghere lālach kī aadat ghere
bachpan in pāpoñ se haT kar apnī umr guzāre
tan komal man sundar haiñ bachche baḌoñ se behtar haiñ
in se chhūt aur chhāt nahīñ jhūTī zaat aur baat nahīñ
bhāshā kī takrār nahīñ maz.hab kī dīvār nahīñ
in kī nazroñ meñ ik haiñ mandir masjid gurudvāre
bachche man ke sachche sare jag ki aankh ke tare
ye wo nanhe phul hain jo bhagwan ko lagte pyare
KHud ruThen KHud man jaen phir ham-joli ban jaen
jhagDa jis ke sath karen agle hi pal phir baat karen
in ko kisi se bair nahin in ke liye koi ghair nahin
in ka bhola-pan milta hai sab ko banh pasare
insan jab tak bachcha hai tab tak samjho sachcha hai
jun jun us ki umr baDhe man par jhuT ka mail chaDhe
krodh baDhe nafrat ghere lalach ki aadat ghere
bachpan in papon se haT kar apni umr guzare
tan komal man sundar hain bachche baDon se behtar hain
in se chhut aur chhat nahin jhuTi zat aur baat nahin
bhasha ki takrar nahin mazhab ki diwar nahin
in ki nazron mein ek hain mandir masjid gurudware
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 489)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.