bahaaron ne mera chaman luT kar KHizan ko ye ilzam kyon de diya
bahaaron ne mera chaman luT kar KHizan ko ye ilzam kyon de diya
Anand Bakhshi
MORE BYAnand Bakhshi
bahāroñ ne merā chaman luuT kar ḳhizāñ ko ye ilzām kyoñ de diyā
kisī ne chalo dushmanī kī magar ise dostī naam kyoñ de diyā
maiñ samjhā nahīñ ai mire ham-nashīñ sazā ye milī hai mujhe kis liye
ki saaqī ne lab se mire chhīn kar kisī aur ko jaam kyoñ de diyā
mujhe kyā pata thā kabhī ishq meñ raqīboñ ko qāsid banāte nahīñ
ḳhatā ho ga.ī mujh se qāsid mire tire haath paiġhām kyoñ de diyā
ḳhudāyā yahāñ tere insāf ke bahut maiñ ne charche sune haiñ magar
sazā kī jagah ik ḳhatā-vār ko bhalā tū ne in.aam kyoñ de diyā
bahaaron ne mera chaman luT kar KHizan ko ye ilzam kyon de diya
kisi ne chalo dushmani ki magar ise dosti nam kyon de diya
main samjha nahin ai mere ham-nashin saza ye mili hai mujhe kis liye
ki saqi ne lab se mere chhin kar kisi aur ko jam kyon de diya
mujhe kya pata tha kabhi ishq mein raqibon ko qasid banate nahin
KHata ho gai mujh se qasid mere tere hath paigham kyon de diya
KHudaya yahan tere insaf ke bahut main ne charche sune hain magar
saza ki jagah ek KHata-war ko bhala tu ne inam kyon de diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.