dhire dhire TuT gae sab
dhīre dhīre TuuT ga.e sab
man viina ke taar
aisā gaayā giit piit kā
aisī piit hamār
man-vīna ke taar haiñ TuuTe
man-vīna ke taar
jab se piit kā gahnā pahnā
kaThin huā hai jag meñ rahnā
ruup ke mandir koī de gayo
zaḳhmoñ kā uphār
aisī piit hamār
raah takat rajnī chandā kī
tan man meñ agnī chandā kī
ghor amāvas de kar chandā
chalā gayo kis paar
aisī piit hamār
badrā bandī taḌpeñ būñdeñ
nainoñ se nit barseñ būñdeñ
'rāhī' mere nain gagan se
sāvan bhī gayo haar
aisī piit hamār
dhire dhire TuT gae sab
man wina ke tar
aisa gaya git pit ka
aisi pit hamar
man-wina ke tar hain TuTe
man-wina ke tar
jab se pit ka gahna pahna
kaThin hua hai jag mein rahna
rup ke mandir koi de gayo
zaKHmon ka uphaar
aisi pit hamar
rah takat rajni chanda ki
tan man mein agni chanda ki
ghor amawas de kar chanda
chala gayo kis par
aisi pit hamar
badra bandi taDpen bunden
nainon se nit barsen bunden
'rahi' mere nain gagan se
sawan bhi gayo haar
aisi pit hamar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.