ghairon pe karam apnon pe sitam
ġhairoñ pe karam apnoñ pe sitam
a jān-e-vafā ye zulm na kar
rahne de abhī thoḌā sā bharam
a jān-e-vafā ye zulm na kar
ham chāhne vaale haiñ tere
yuuñ ham ko jalānā Thiik nahīñ
mahfil meñ tamāshā ban jaa.eñ
is tarah bulānā Thiik nahīñ
mar jā.eñge ham miT jā.eñge ham
a jān-e-vafā ye zulm na kar
ham bhī the tire manzūr-e-nazar
dil chāhe to ab inkār na kar
sau tiir chalā siine pe magar
begānoñ se mil ke vaar na kar
tujh ko tirī bedardī kī qasam
a jān-e-vafā ye zulm na kar
ghairon pe karam apnon pe sitam
a jaan-e-wafa ye zulm na kar
rahne de abhi thoDa sa bharam
a jaan-e-wafa ye zulm na kar
hum chahne wale hain tere
yun hum ko jalana Thik nahin
mahfil mein tamasha ban jaen
is tarah bulana Thik nahin
mar jaenge hum miT jaenge hum
a jaan-e-wafa ye zulm na kar
hum bhi the tere manzur-e-nazar
dil chahe to ab inkar na kar
sau tir chala sine pe magar
beganon se mil ke war na kar
tujh ko teri bedardi ki qasam
a jaan-e-wafa ye zulm na kar
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 363)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.