git
ham ko alag na kar pā.egā sho.ala ho yā shabnam
ek hai desh ek haiñ ham
ek chaman hai apnā jis meñ rang hazāroñ ḳhushbū ek
jism hamāre alag alag haiñ lekin apnā lohū ek
bhāshāoñ ke taar ka.ī haiñ phir bhī ik sargam
ek hai desh ek haiñ ham
alag alag lahreñ uphnātīñ hai gambhīr samundar ek
shikhroñ ke sau rang-rūp haiñ muskāta hai sāgar ek
apnī jagah aTal hai pahrī ruḳh badle mausam
ek hai desh ek haiñ ham
dehrī dvaar alag haiñ sab ke chaupāl hai gaañv hai ek
be-shumār bargad kī shāḳheñ dhuup ke āñgan chhāñv hai ek
sūraj ek gagan par apnā ik apnā pūnam
ek hai desh ek haiñ ham
hindū muslim sikh īsā.ī judā haiñ rāheñ manzil ek
Dhang alag hai har kashtī kā tūfānoñ meñ sāhil ek
janm kā jalsa ik jaisā hai maut kā ik mātam
ek hai desh ek haiñ ham
hum ko alag na kar paega shoala ho ya shabnam
ek hai desh ek hain hum
ek chaman hai apna jis mein rang hazaron KHushbu ek
jism hamare alag alag hain lekin apna lohu ek
bhashaon ke tar kai hain phir bhi ek sargam
ek hai desh ek hain hum
alag alag lahren uphnatin hai gambhir samundar ek
shikhron ke sau rang-rup hain muskata hai sagar ek
apni jagah aTal hai pahri ruKH badle mausam
ek hai desh ek hain hum
dehri dwar alag hain sab ke chaupal hai ganw hai ek
be-shumar bargad ki shaKHen dhup ke aangan chhanw hai ek
suraj ek gagan par apna ek apna punam
ek hai desh ek hain hum
hindu muslim sikh isai juda hain rahen manzil ek
Dhang alag hai har kashti ka tufanon mein sahil ek
janm ka jalsa ek jaisa hai maut ka ek matam
ek hai desh ek hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.