git
jab se mānūs qadmoñ kī aahaT ga.ī
giit zaḳhmī hue gungunāhaT ga.ī
mere hoñToñ kī vo muskurāhaT ga.ī
ai sakhī ab na vo lauT kar ā.eñge
diip dahlīz par ab rakhūñ kis liye
kis kī ḳhātir jalā.ūñ maiñ dil meñ diye
ashk rukte nahīñ lab to maiñ ne siye
ai sakhī ab na vo lauT kar ā.eñge
suntī huuñ sho.ale nafrat ke itne baḌhe
jis meñ ma.asūm insāñ jalā.e ga.e
mere sājan na is aag se bach sake
ai sakhī ab na vo lauT kar ā.eñge
is qadar baḌh ga.ī aaj dahshat-garī
tang insāñ pe hai arsa-e-zindagī
be-kalī be-kalī bebasī bebasī
ai sakhī ab na vo lauT kar ā.eñge
mujh ko jhūTī tasallī na de ab koī
baañT saktā nahīñ merā dukh koī bhī
ab to hai zindagī aur tīra-shabī
ai sakhī ab na vo lauT kar ā.eñge
zinda rahnā hai bachchoñ kā muñh dekh kar
ab ḳhushī kā mire ghar na hogā guzar
bharnā hai ab mujhe karvaTeñ raat bhar
ai sakhī ab na vo lauT kar ā.eñge
jab se manus qadmon ki aahaT gai
git zaKHmi hue gungunahaT gai
mere honTon ki wo muskurahaT gai
ai sakhi ab na wo lauT kar aaenge
dip dahliz par ab rakhun kis liye
kis ki KHatir jalaun main dil mein diye
ashk rukte nahin lab to main ne siye
ai sakhi ab na wo lauT kar aaenge
sunti hun shoale nafrat ke itne baDhe
jis mein masum insan jalae gae
mere sajan na is aag se bach sake
ai sakhi ab na wo lauT kar aaenge
is qadar baDh gai aaj dahshat-gari
tang insan pe hai arsa-e-zindagi
be-kali be-kali bebasi bebasi
ai sakhi ab na wo lauT kar aaenge
mujh ko jhuTi tasalli na de ab koi
banT sakta nahin mera dukh koi bhi
ab to hai zindagi aur tira-shabi
ai sakhi ab na wo lauT kar aaenge
zinda rahna hai bachchon ka munh dekh kar
ab KHushi ka mere ghar na hoga guzar
bharna hai ab mujhe karwaTen raat bhar
ai sakhi ab na wo lauT kar aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.