git
tan bhogī
man jogī
jīvan tū kyā jaane ham par kyā kuchh biitī hogī
tan māñge hai chhappar chhāyā
kapḌā daana paanī
man ko in se laag nahīñ kuchh
man kī alag kahānī
man janmoñ se chandan jaisā tan janmoñ kā rogī
tan saudāgar lobh kā maarā
maal gine dhan joḌe
man pāgal bas dard baTore
baaqī chīzeñ chhoḌe
tan ko bas ik apnī chintā man sab kā sahyogī
man sīmā.eñ toḌnā chāhe
tan apne meñ sukḌā
do pāToñ ke biich meñ
saarā jīvan TukḌā TukḌā
socho is sansār meñ ham ne kaise basar kī hogī
tan bhogī
man jogī
tan bhogi
man jogi
jiwan tu kya jaane hum par kya kuchh biti hogi
tan mange hai chhappar chhaya
kapDa dana pani
man ko in se lag nahin kuchh
man ki alag kahani
man janmon se chandan jaisa tan janmon ka rogi
tan saudagar lobh ka mara
mal gine dhan joDe
man pagal bas dard baTore
baqi chizen chhoDe
tan ko bas ek apni chinta man sab ka sahyogi
man simaen toDna chahe
tan apne mein sukDa
do paTon ke bich mein
sara jiwan TukDa TukDa
socho is sansar mein hum ne kaise basar ki hogi
tan bhogi
man jogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.