ghusse mein jo nikhra hai us husn ka kya kahna
ġhusse meñ jo nikhrā hai us husn kā kyā kahnā
kuchh der abhī ham se tum yuuñ hī ḳhafā rahnā
us husn ke sho.ale kī tasvīr banā leñ ham
un garm nigāhoñ ko siine se lagā leñ ham
pal-bhar isī aalam meñ ai jān-e-adā rahnā
kuchh der abhī ham se tum yuuñ hī ḳhafā rahnā
ye dahkā huā chehra ye bikhrī huī zulfeñ
ye baḌhtī huī dhaḌkan ye chaḌhtī huī sāñseñ
sāmān-e-qazā ho tum sāmān-e-qazā rahnā
kuchh der abhī ham se tum yuuñ hī ḳhafā rahnā
pahle bhī hasīñ thiiñ tum lekin ye haqīqat hai
vo husn musībat thā ye husn qayāmat hai
auroñ se to baḌh kar ho ḳhud se bhī sivā rahnā
kuchh der abhī ham se tum yuuñ hī ḳhafā rahnā
ghusse mein jo nikhra hai us husn ka kya kahna
kuchh der abhi hum se tum yun hi KHafa rahna
us husn ke shoale ki taswir bana len hum
un garm nigahon ko sine se laga len hum
pal-bhar isi aalam mein ai jaan-e-ada rahna
kuchh der abhi hum se tum yun hi KHafa rahna
ye dahka hua chehra ye bikhri hui zulfen
ye baDhti hui dhaDkan ye chaDhti hui sansen
saman-e-qaza ho tum saman-e-qaza rahna
kuchh der abhi hum se tum yun hi KHafa rahna
pahle bhi hasin thin tum lekin ye haqiqat hai
wo husn musibat tha ye husn qayamat hai
auron se to baDh kar ho KHud se bhi siwa rahna
kuchh der abhi hum se tum yun hi KHafa rahna
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 291)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.