hum aaj kahin dil kho baiThe
Interesting Fact
This Geet was used in film 'Andaz' (1949), composed by Naushaad.
ham aaj kahīñ dil kho baiThe
yuuñ samjho kisī ke ho baiThe
ham aaj kahīñ dil kho baiThe
har dam jo koī paas aane lagā
bhed ulfat ke samjhāne lagā
nazroñ se nazar kā Takrānā
thā dil ke liye ik afsāna
ham hāthoñ se dil ko kho baiThe
ham aaj kahīñ dil kho baiThe
āñkhoñ meñ samāyā koī magar
kaun aayā kisī ko kyā ye ḳhabar
pūchho to yahī hai us kā patā
chanchal naināñ aur shoḳh adā
ham dil kī nayyā Dubo baiThe
ham aaj kahīñ dil kho baiThe
hum aaj kahin dil kho baiThe
yun samjho kisi ke ho baiThe
hum aaj kahin dil kho baiThe
har dam jo koi pas aane laga
bhed ulfat ke samjhane laga
nazron se nazar ka Takrana
tha dil ke liye ek afsana
hum hathon se dil ko kho baiThe
hum aaj kahin dil kho baiThe
aankhon mein samaya koi magar
kaun aaya kisi ko kya ye KHabar
puchho to yahi hai us ka pata
chanchal nainan aur shoKH ada
hum dil ki nayya Dubo baiThe
hum aaj kahin dil kho baiThe
- Book : Kulliyat-e-Majrooh Sultanpuri (Pg. 196)
- Author : Majrooh sultanpri
- Publication : Alhamd Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.