hum hain rahi pyar ke humse kuchh na boliye
Interesting Fact
This Geet was used in film 'Nau Do Gyaarah' (1957) and composed by S.D. Burman.
ham haiñ raahī pyaar ke ham se kuchh na boliye
jo bhī pyaar se milā ham usī ke ho liye
dard bhī hameñ qubūl chain bhī hameñ qubūl
ham ne har tarah ke phuul haar meñ piro liye
dhuup thī nasīb meñ dhuup meñ liyā hai dam
chāñdnī milī to ham chāñdnī meñ so liye
dil kā aasrā liye ham to bas yūñhī jiye
ik qadam pe hañs liye ik qadam pe ro liye
raah meñ paḌe haiñ ham kab se aap kī qasam
dekhiye to kam se kam boliye na boliye
hum hain rahi pyar ke hum se kuchh na boliye
jo bhi pyar se mila hum usi ke ho liye
dard bhi hamein qubul chain bhi hamein qubul
hum ne har tarah ke phul haar mein piro liye
dhup thi nasib mein dhup mein liya hai dam
chandni mili to hum chandni mein so liye
dil ka aasra liye hum to bas yunhi jiye
ek qadam pe hans liye ek qadam pe ro liye
rah mein paDe hain hum kab se aap ki qasam
dekhiye to kam se kam boliye na boliye
- Book : Kulliyat-e-Majrooh Sultanpuri (Pg. 197)
- Author : Majrooh sultanpri
- Publication : Alhamd Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.