hum intizar karenge tera qayamat tak
ham intizār kareñge tirā qayāmat tak
ḳhudā kare ki qayāmat ho aur tū aa.e
ye intizār bhī ik imtihān hotā hai
isī se ishq kā sho.ala javān hotā hai
ye intizār salāmat ho aur tū aa.e
bichhā.e shauq ke sajde vafā kī rāhoñ meñ
khaḌe haiñ diid kī hasrat liye nigāhoñ meñ
qubūl dil kī ibādat ho aur tū aa.e
vo ḳhush-nasīb hai jis ko tū intiḳhāb kare
ḳhudā hamārī mohabbat ko kāmyāb kare
javāñ sitāra-e-qismat ho aur tū aa.e
ḳhudā kare ki qayāmat ho aur tū aa.e
hum intizar karenge tera qayamat tak
KHuda kare ki qayamat ho aur tu aae
ye intizar bhi ek imtihan hota hai
isi se ishq ka shoala jawan hota hai
ye intizar salamat ho aur tu aae
bichhae shauq ke sajde wafa ki rahon mein
khaDe hain did ki hasrat liye nigahon mein
qubul dil ki ibaadat ho aur tu aae
wo KHush-nasib hai jis ko tu intiKHab kare
KHuda hamari mohabbat ko kaamyab kare
jawan sitara-e-qismat ho aur tu aae
KHuda kare ki qayamat ho aur tu aae
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 392)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.