hum sab ka diya
Interesting Fact
(In folk-Pashto style)
vo kahīñ duur nazar aatā hai nanhā sā diyā
jo havāoñ meñ jalā
jo ghaTāoñ meñ jalā
jis ne ḳhud jal ke diyā
bhaTke hue raahī ko manzil kā pata
vo kahīñ duur nazar aatā hai nanhā sā diyā
saare jugnū jo havāoñ meñ kahīñ jā ke chhupe
jab sitāre bhī ghaTāoñ meñ kahīñ bujh se ga.e
aise tūfāñ meñ hamārā ye diyā
yahī kamzor sā nanhā sā diyā
jo havāoñ meñ jalā
jo ghaTāoñ meñ jalā
jis ne ḳhud jal ke diyā
bhaTke hue raahī ko manzil kā pata
vo kahīñ duur nazar aatā hai nanhā sā diyā
vahī ham sab kā diyā
wo kahin dur nazar aata hai nanha sa diya
jo hawaon mein jala
jo ghaTaon mein jala
jis ne KHud jal ke diya
bhaTke hue rahi ko manzil ka pata
wo kahin dur nazar aata hai nanha sa diya
sare jugnu jo hawaon mein kahin ja ke chhupe
jab sitare bhi ghaTaon mein kahin bujh se gae
aise tufan mein hamara ye diya
yahi kamzor sa nanha sa diya
jo hawaon mein jala
jo ghaTaon mein jala
jis ne KHud jal ke diya
bhaTke hue rahi ko manzil ka pata
wo kahin dur nazar aata hai nanha sa diya
wahi hum sab ka diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.