har taraf husn hai jawani hai
har taraf husn hai javānī hai
aaj kī raat kyā suhānī hai
reshmī jism sarsarāte haiñ
marmarīñ ḳhvāb gungunāte haiñ
dhaḌkanoñ meñ surūr phailā hai
rang nazdīk-o-dūr phailā hai
dāvat-e-ishq de rahī hai fazā
aaj ho jā kisī hasīñ pe fidā
mohabbat baḌe kaam kī chiiz hai
mohabbat ke dam se hai duniyā kī raunaq
mohabbat na hotī to kuchh bhī na hotā
nazar aur dil kī panāhoñ kī ḳhātir
ye jannat na hotī to kuchh bhī na hotā
kitāboñ meñ chhapte haiñ chāhat ke qisse
haqīqat kī duniyā meñ chāhat nahīñ hai
zamāne ke bāzār meñ ye vo shai hai
ki jis kī kisī ko zarūrat nahīñ hai
ye be-kār be-dām kī chiiz hai
mohabbat baḌe kaam kī chiiz hai
ye bas naam hī naam kī chiiz hai
mohabbat se itnā ḳhafā hone vaale
chal aa aaj tujh ko mohabbat sikhā deñ
tirā dil jo barsoñ se vīrāñ paḌā hai
kisī nāznīnāñ ko is meñ basā deñ
mirā mashvara kaam kī chiiz hai
har taraf husn hai jawani hai
aaj ki raat kya suhani hai
reshmi jism sarsaraate hain
marmarin KHwab gungunate hain
dhaDkanon mein surur phaila hai
rang nazdik-o-dur phaila hai
dawat-e-ishq de rahi hai faza
aaj ho ja kisi hasin pe fida
mohabbat baDe kaam ki chiz hai
mohabbat ke dam se hai duniya ki raunaq
mohabbat na hoti to kuchh bhi na hota
nazar aur dil ki panahon ki KHatir
ye jannat na hoti to kuchh bhi na hota
kitabon mein chhapte hain chahat ke qisse
haqiqat ki duniya mein chahat nahin hai
zamane ke bazar mein ye wo shai hai
ki jis ki kisi ko zarurat nahin hai
ye be-kar be-dam ki chiz hai
mohabbat baDe kaam ki chiz hai
ye bas nam hi nam ki chiz hai
mohabbat se itna KHafa hone wale
chal aa aaj tujh ko mohabbat sikha den
tera dil jo barson se viran paDa hai
kisi nazninan ko is mein basa den
mera mashwara kaam ki chiz hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 359)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.