Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in ujle mahlon ke tale

Sahir Ludhianvi

in ujle mahlon ke tale

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    in ujle mahloñ ke tale

    ham gandī galiyoñ meñ pale

    sau sau bojhe man pe liye

    mail aur maaTī tan pe liye

    dukh sahte ġham khāte rahe

    phir bhī hañste gaate rahe

    ham dīpak tūfāñ meñ jale

    ham gandī galiyoñ meñ pale

    duniyā ne Thukrāyā hameñ

    rastoñ ne apnāyā hameñ

    saḌkeñ ghar saḌkeñ chitā

    kyuuñ aa.e kyā kar ke chale

    ham gandī galiyoñ meñ pale

    dil meñ khaTkā kuchh bhī nahīñ

    ham ko parvā kuchh bhī nahīñ

    chāho to nākāra kaho

    chāho to āvāra kaho

    ham bure tum sab ho bhale

    ham gandī galiyoñ meñ pale

    in ujle mahlon ke tale

    hum gandi galiyon mein pale

    sau sau bojhe man pe liye

    mail aur maTi tan pe liye

    dukh sahte gham khate rahe

    phir bhi hanste gate rahe

    hum dipak tufan mein jale

    hum gandi galiyon mein pale

    duniya ne Thukraya hamein

    raston ne apnaya hamein

    saDken ghar saDken hi chita

    kyun aae kya kar ke chale

    hum gandi galiyon mein pale

    dil mein khaTka kuchh bhi nahin

    hum ko parwa kuchh bhi nahin

    chaho to nakara kaho

    chaho to aawara kaho

    hum hi bure tum sab ho bhale

    hum gandi galiyon mein pale

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 432)
    • Author : SAHIR LUDHIANVI
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now